5 Dariya News

“Main- Ek Boond”

5 Dariya News

12-Jul-2019

Kya hai ye barish, choti choti boonde bohut khubsurat manzar bana deti hai. Kaash ye lamha yuhi dham jaye. Surkh aasman aur us par surkh lali yakinan khuda ka banaya hua ek karishma hai. Kala aasman jaise poori duniya ko dhake ek chadar ki tarha hai.Wo ek paheli lagta hai jaise har ek boond insaan par gir kar usse koi fariyaad kar rahi ho. Wo ek aisi khushbu chhod jati hai jaise keh rahi ho main hamesha zinda hu. Jab barish aasman ki godh se nikalkar is bebas duniya ki taraf badhti hai. To saara waqt thum jata hai, parindein apne ashiyano me lout jate hain. Ped podhe to aise seham jaate hai jaise koi insaan khauff zada ho. Samunder bhi khamosh ho jata hai. Garz ye ke ye aasman apne sath sabko rulata hai. tip tip kar k boonde ek khubsurat sa raag bajati hai. Main har ek boond ko mehsoos kar sakta hu, unki fariyaad bhi sunne ki koshish karta hu. Par najane kyu samajh nahi pata. Jab barish ki boonde jism k chhote chhote hisse mein padhti hai, aur gheela kar daalti hai. To waqai yahi kehti hai tum bhi to mere rang mein rango. Par uska to koi rang hi nahi hai. ek bebas, lachaar, badnaseeb shaks ki tarha. Jiski zindagi mein koi khushiya nahi, koi rang nahi. Aur ye boonde un par baras kar bar bar yahi ehsaas dilati hai tum akele nahi ho "mein hu tumhare sath" Dekho mujhe mein bhi to tumhare hi jaisi hu, mujhe zara mehsoos karo, mein bhi lachaar, bebas aur udaas hu. Mere siwa aur kaun hai tumhara hamdard. Meri badnaseebi dekho mein aasman se nikal kar kisi bhi veerane jungle mein girti hu aur kisi veerane qabristan ki tarah akeli ho jati hu jaha koi nahi aata.

Kaash koi to mujhe samajhta, mein khuda se baar baar yahi kehti hu mujhe is matlabi duniya mein mat bhejo, to mera khuda mujhse kehta hai nahi tu jaa, aur baras aur khoob baras ! Un logo ke liye jo is zaleel aur matlabi duniya mein akele aur lachaar hai. Jao aur unki takleefo ko door kardo. Aur ehsaas bhi dilao. Dekho mujhe mein bhi tumhari tarah akeli aur berang hu. tum akele nahi ho mujhe dekho aur samjho ye aasman rokar tumko ye ehsaas dila raha hai "ye zindagi abhi khatam nahi hui, bohut door se chal kar arahe ho aur bohut door chal kar jana hai. Fir khadhe ho, fir apne hosle buland karo. Baar baar gir kar sambhalna tumhari kismat hai. "Mein ek boond hu aur jab-jab tum udaas hoge mein tumko bar-bar ehsaas dilati rahugi. Mujhe mehsoos karo, mujhe apni ugliyo par padhne to do, apne roshan chehre ko mujhe chhu ne to do. Tumhare saare ghum meine dho na diye to kehna. Mein baarish hu, mujhe koshish karna samjhne ki.  

Introduction:

Aamir Areeb Sajid (born 13 July 1990) is an Indian author, blogger, song writer known for his traditional mix English & Urdu short stories, poetries & novels. Born in a urban middle class Muslim Mughal Family.

Contact 9999837345

sajidareeb@gmail.com